Friday, December 22, 2006

Antim Upkhyan(Episode)

Sabb kuch taiyar tha, sabhi sthan taye ho chuke they, nirdeshakon athva anya adhikariyon ne apni apni manzuri de di thi, kalakaron ne bhi tarikhein de di thi, lekin achanak, ek mukhya kalakar bimar pad jata hai aur uski jagah adakari karne vala aur koi kalakar uplabdh nahi tha… aakhirkar, film thapp pad jati hai aur ab uska kuch nahi kiya ja sakta…

Ji deviyon aur sajjno, yeh hai mere Hyderabad Safar ka antim parinam. Shuru karne se pehle yeh vaada karta hun ki yeh mere ‘Hindi Meri Matra Bhasha Hai’ shrankhala(series) ka antim kyansh(episode) hoga. Aapki sahuliyat ke liye maine shabd kosh(dictionary) ka sehyog leker kahtin shabdon k arth dewargeron(brackets) me likh diye hai. Yeh hindi dekh kar hairan mat hona. Mai yeh vakya hindi k shabd kosh ki sahayata se hi likh raha hu.

To bhaiyon aur unki behno, kuch jyada nahi hai aaj kehne ko, bass itna k mera Hyderabad jana radd ho gaya. Karan iska yeh hua ki hum dono me se ek mukhya adakar, mera saathi kuch sankat me pad gaya jiski vajah se humara vahan jana abb namumkin hai. Dukh to hai hi, lekin ek bat ki khushi bhi hai k maine in chann dino me bohat kuch seekha. Mai is blog ke madhyam se apne mitron Chahita, Archana, Mishika, Shweta, Nitin, Nitesh, Neetu, Vivek evam Ojaswini ko, jinhone apna keemti waqt nikalkar, vaad vivid ki taiyari karne me mera sath dia… aur Suneet, Tarun Aditi, Rajanvir, Vikrant, Shuchita, jinhone meri poori honsla afsai ki, ko tahe dil se shukriya ada karma chahata hun ...

Angrezi ko Hindi me anuvad(translate) karna…. Tauba.. Agar aap me se koi aisa karna chahata hai ya bhavishya me kabhi aisa karega to mai use ek salah deta hun k apne sath ek disprin ka patta zarur rakhey.. Bohat zarurat padti hai inki. Aur han, agar tum ladkiyon ke sath karya kar rahe ho to apna batuva ghar pe bhool kar aye.. ;)

Dukh to lagta hai, kyunki aisa suavsar (opportunity) bar bar nahi milta, lekin yehi zindagi hai, jo hai use swekar karna hi iska niyam hai… Fir bhi yehi chahata hun ki bhagwan kabhi kahin mujhe ek hindi vaad vivid karne ka mauka zarur dena… Mai apne doston k sath voh haseen pal dobara vyateet karna chahata hu.. Vo angrezi ko padhta, vo sar ko khujlana, table ko peetna, vo shabd-kosh kholna, vo kholkar band karna, hatash hona, roothna manana, hasna hasana, vo fokat ki parties aur vo zabardasti kharacha karvana …… Tum chattan ho doston… ( You Rock Guys!!!)

Inn chann shabdon ke sath mai is hindi k bhoot ko tata bye bye kehta hun…. Aur vapis apne normal hinglish vidhi(mode) me pravesh karta hu…

NO MORE HINDI!!!

Alvida…

5 comments:

Archana said...

main apke kathan se bilkul sehmat hun mitra ...inn kuch dinno mein maine bhi apki sahayta karne ke prayas mein kafi kuch grahan kiya hai ..wo samay nisandeh bahut hi anand purn tha ..aur haan ..apke hyderabad na jane per humein tahe dil se afsos ho raha hai ..kyunki aap jab ja ke ate to humein ek aur utsav (party)milti ab afsos ..hum uss bhavi party ke bhagidar na ban sake... per kadapi asha karte hain ki aap na jane per bhi humein ..apne dukhi utsav mein avashya sharik hone denge ...
dukh bhare hridya ke sath ..
archana

Anonymous said...

kaafi afsos hua sunke ke humhari, aunty ji n (aapki bhi.. :P) mehnat mitti mein mil gayi... sahi kaha aapne zindagi hai yeh.. par no prob yaar.... i guess v had a gr88 time doin all this... rather this enters into the list of one of the memorable events v spent together.. hai ke nai??... kahan milte hain aise sunhere mauke n sahi bahane doston ke saath gappein haankne ke liye..... par ek baat hai... I never realised ke HINDI can also b that tough ... n agar hum jaise log baith jaate hain to..kehna chahiye.. that interestin..... !!!! :)

Deepinder Singh said...

@Archie... aapko mere dukhi utsav me shamil hone ki poori anumati hai...
@Chahita Haan yar.. The times were great... and Hindi was toooooo interesting.. vaise abb takk to tum log clerikal jobs me perfect ho chuke hooge!!! ;) A good thing to add to resume.. :p

Anonymous said...

phir se likh rahi hoon..

first of all, i'm happy ki now u wont write in hindi!! yaar padhne mein itna time aur concentration lagta hai, hehehe.. and i know u're very unhappy abt yr hyderabad trip getting cancelled, but i'm more upset abt u not coming to delhi :( i hope u materialize a plan where u can come and meet us too.. anyway, abt the blog, it was quite good & dukh-bhara and thanks for including our names there!! i hope yr next blog consists of yr trip to delhi :)

Damanpreet singh said...

Finally after reading your post many times I was able to understand what you wanted to say.
It is sad you didn’t go to Hyd after all the hard work you did for this competition.
Chalo ki pata tuhadi Hyd vich placement ho jae. Fir lagge rehna Hyd valian nal vaad vivid karan.. ha ha